Sports Takra

Directions

Sports Takra Sports Takra – Where passion meets rivalry. Latest updates, hot takes & nonstop sports buzz

10/10/2026

91/7… aur Australia ke jeetne ka chance sirf 0.5%!
Phir Glenn Maxwell ne woh kar dikhaya jo cricket history mein hamesha yaad rakha jayega 🔥

10/10/2026

Maaz Sadaqat ki batting dekhi? 👀

Wohi attacking style, wohi confidence aur wohi stylish no-look shots!

09/10/2026

CAPTAIN BANTE HI FARHAN KA DHAMAKA! 🔥 Pakistan Beat Sri Lanka 🇵🇰

08/10/2026

Sirf ek inch ki galti aur poori Champions Trophy haath se nikal gayi! 🤯🏆

Jab Fakhar Zaman ki kismat ne India ke khilaf match palat diya. Kya ye cricket history ki sabse mehengi No-Ball thi? 👇


07/10/2026

Salman Butt ko birthday wish… aur Pakistan ke only World Cup-winning captain Imran Khan ko ignore?

Sawal sirf ek birthday post ka nahi.

Sawal ye hai ke Pakistan cricket mein legacy aur accountability ka scale aakhir kya hai?

Ek taraf 1992 World Cup-winning captain Imran Khan.
Doosri taraf 2010 spot-fixing scandal mein guilty paya gaya former captain Salman Butt.
Aur phir hum India ko cricket mein politics lane par lecture dete hain…
Kya pehle apne ghar ko nahi dekhna chahiye?

Aapke hisaab se PCB ne Imran Khan ko wish kyun nahi kiya?

Comment mein apni opinion dein. 👇

06/10/2026

4 October 1996.

Pakistan ka ek 16 saal ka leg-spinner Sri Lanka ke against No.3 par batting karne aaya…

Aur phir cricket history badal gayi. 😳🔥

🔥 37 balls mein 100
🔥 11 sixes
🔥 6 fours

05/10/2026

Pakistan cricket mein bada captaincy shock! 🚨
PCB ne Sri Lanka ke khilaf T20I series ke liye Sahibzada Farhan ko Pakistan ka naya T20 captain bana diya.
Farhan ne Asian Games mein Pakistan ki captaincy ki thi, jahan team silver medal tak pohanchi.
Aur sabse badi news?
Babar Azam T20I squad mein nahi hain!
Babar ODI squad ka hissa hain, jabke Salman Ali Agha ko T20I captaincy se hata diya gaya hai.
Shaheen Shah Afridi ODI captain ke taur par continue karenge.
Farhan ko captain banana sahi decision hai ya PCB ka blunder? 👀
Apni opinion comments mein dein.

05/10/2026

Socho zara… Pakistan ka sabse bada naam, 1992 World Cup jeetne wala captain, aur board ne birthday wish bhi nahin diya. Magar do din pehle Aamer Hanif ko wish ho gaya. Ye sirf ek tweet nahin — ye Pakistan cricket mein politics aur mismanagement ki kahani hai. Broadcasting rights bhi PKR 250 crore kam mein bech di gayi. Kya board cricket chala raha hai ya apni politics? Comment karke batayein.

03/10/2026

96 runs. 51 balls. 7 sixes. 5 fours.

Pakistan Asian Games Final mein India ke khilaf 19 runs se haar gaya, lekin Hassan Nawaz ne aakhri over tak Pakistan ki umeed zinda rakhi.
India ke 211/6 ke jawab mein Pakistan 192/6 tak pohancha, aur Hassan Nawaz ki 96-run innings Pakistan ki sabse badi fighting effort rahi. PCB
Aur phir woh heartbreaking moment…
Back-to-back dot balls…
Aur Hassan Nawaz ghutnon par.
Pakistan gold medal nahi jeet saka… lekin kya aaj Pakistan ko ek warrior mil gaya?
Aap Hassan Nawaz ki innings ko 10 mein se kitne marks denge

03/10/2026

GOLD HAATH SE GAYA! 😭 Pakistan Lost to India by 19 Runs

Pakistan ka Gold Medal sirf 19 runs door reh gaya! 💔

India ne Asian Games 2026 ke cricket final mein Pakistan ko 19 runs se hara kar gold medal defend kar liya. India ne 211/6 banaye, jabke Pakistan 192/6 tak hi pohanch saka.

Lekin Pakistan ke liye sabse badi fight Hasan Nawaz ne di.

96 runs off 51 balls.

Unki explosive innings ne Pakistan ko match mein wapas la diya, lekin final mein India ke bowlers ne Pakistan ko 19 runs short rakh diya. Hasan Nawaz final ball par out hue.

Gold India ka — Silver Pakistan ka.

Address

Islamabad

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Sports Takra posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Shortcuts

Share

Category