Naam se hi andaza lagaya ja sakta hai ke, mujhe Aakaar gayaki adhik pasand hai aur main isi ke vishay mein kehne ja raha hoon.
'Khayal' yani 'kalpana', humare KHAYAL gayaki ko sadiyo se unnat karta aaya. Bahot gunijano dwara din-ba-din ismein achhi achhi soch dale gaye. Alag alag gharana bane, sab ne apna-apna rang dikhaya. Bahot salo ke abhyas ke pashchat Khayal ne mujhe aise ek mod par la khada
kiya hai jab main bahot hi mushkil chintan mein din beeta raha hoon. Kisi bhi gharane mein aakaar ka upyog avashy hota hai. Kisi mein kam to Kisi mein zyada. Iss liye abhyas ke dauran Aakaar ka abhyas bhi karna pada or woh bhi kayi tariko se. Jab mujhe yeh pratit ho raha hai ke mujhe apne pasand ka aakaar mil gaya or ghanto riyaz hota gaya tabhi samasya khadi hui. Jab Tanpure ke sur mein leen hokar shunnya avastha mein jata hoon or ek aakaar apne aap nikalta hai, tab jaise sabhi prakar ke 'SHABD' ( Words ) man se bilupt ho jata hai or kewal aakaar hi aakaar mein poorey Raag ka teeno saptak mein riyaaz poora ho jata hai. Beech mein kabhi bhi koi SHABD gane ko jee nahi chahta. Bandisho ke mod bhi aate hain, kintu jab tak usey sochkar shuru karoon tab tak doosra aakaar man ka darwaza khat-khatata hai. Kabhi kabhi seekhey huye bandisho ko aakaar mein gaane ko bhi maza ata hai. Aakaar ke dwara nirakaar mein leen ho jata hoon jahan SHABDON ka koi sthan nahi hai. Aalaap, taan sabhi kuch aaram se ho raha hai. Ab sankshep mein ata hoon... Aise hi, Khayal gane ko sunnewale gine chune hote hain. Upar se yadi usmein se bol hata diya jaye to shayad hi koi sunnewala humein miley ! jabki mere liya yadi koi issprakar ka gayan prastut karen to main ghanto tak sun sakta hoon or kisi bhi Raag ka poora anand utha sakta hoon. Kintu mere jaise sunne wale kahan milenge ?! Or kuch log to kewal bandish hi bandish sunne ko aate hain.Kuchh gayak bhi huye hai, jinke paas masala kam hone ke karan bahut sari bandishe gatey rehte hain alag-alag taalo mein...
Waise yeh uplabdhi mujhe hi sabse pehle hua hai aisa kehna murkhta hogi. Pandit Mallikarjun Mansur Ji ke Gharana ke Gayaki mein bhi Khoob Aakaar ka upyog hota hai. Parantu Veh kewal teen taal mein apne gayan prastut karte hai. Yadi Swalp bol liya jaye to Rupak, Jhaptal, ektaal Yani sabhi taalon ka hum upyog kar sakte hain. Beech ka raasta chunta hua main yeh nishkarsh mein pahuncha hoon ke, ati alp yani Swalp Bolon ka upyog karke or woh bhi Raag ke BHAAV ko Dhyan mein rakhte huye agar hum Khyal ka Upasthapana karein to shayad sabhi niyam bhi poorey honge or jee bhar kar AAKAAR gayan ka Anand bhi le sakenge. Mere agami dino ke gayan mein mera yehi prayas rahega. Yeh bhi mere Guruji Pandit Shrikant Bakre Ji ke Hi Ashirwaad hai.